Wednesday, 31 August 2016

Gusl kin cheezon se farz hota hai

1) Ehtelaam ka ho jaana. Neend mein mani ka nikalna, khwaah us ne khwaab dekha ho ya na dekha ho.
✺ (Shaami: 1/453, Kitaabut Tahaarah)

2) Bedaari mein shehwat ke saath mani nikalna.
✺ (Shaami: 1/453, Kitaabut Tahaarah)

3) Hambistari karna, chaahe mani na nikle.
✺ (Shaami: 1/458, Kitaabut Tahaarah)

4) Haiz ke khoon ka band hojaana.
✺ (Shaami: 1/470, Kitaabut Tahaarah)

5) Nifaas ke khoon ka band hojaana.
✺ (Shaami: 1/470, Kitaabut Tahaarah)

Peshaab ke raaste se peshaab ke alaawa teen cheezein aur nikalti hain:

1) Wadi: Woh chikna paani jo peshaab ke baad kabhi kabhi nikalta hai.

2) Mazi: Woh patla aur chikna paani jo shahwaani khayaalaat ya miyaan biwi ke bos wa kinaar ke waqt nikalta hai, us ke nikalne se josh aur khwaahish khatm nahin hoti.

3) Mani: Woh gaadhha aur chikna paani jo hambistari ya shahwat ke galbe par nikalta hai, us ke nikalne ke baad shahwat aur josh khatm ho jaata hai.

Note: Mani ke nikalne se gusl waajib ho jaata hai. Mazi, Wadi aur usi tarah aurat ko safed paani aane se wuzu toot'ta hai, gusl waajib nahin hota. (Shaami: 1/472, Sunanul Gusl)

Mas'ala: Jis shakhs par gusl waajib ho us ke liye Quran-e-Kareem ki tilaawat karna aur Masjid mein daakhil hona haraam hai. Albatta zikr wa tasbeeh aur masnoon duaaein padhna durust hai. (Shaami: 1/493, Sunanul Gusl)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp


Tuesday, 30 August 2016

Gusl ke faraaiz

Gusl mein teen farz hain:

1) Munh bhar kar kulli karna.
✺ (Shaami: 1/423, Matlab fi Abhaasil Gusl)

2) Naak mein paani daalna.
✺ (Shaami: 1/423, Matlab fi Abhaasil Gusl)

3) Poore badan par is tarah paani bahaana ke ek baal baraabar bhi koi jagah sookhi na rahe.
✺ (Shaami: 1/427, Matlab fi Abhaasil Gusl)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp


Monday, 29 August 2016

Gusl ka Sunnat Tareeqa

Sab se pehle paak hone ki niyyat kare, phir donon haath gatton tak dhoye, phir sharmgaah ko dhoye, phir badan par kahein naapaaki wagaira lagi ho to us ko dhoye, phir mukammal wuzu kare, phir sar par paani daale, phir daaein kandhe par paani daale, phir baaein kandhe par paani daale, phir baaqi badan par paani daale, isi tarah teen martaba poore badan par paani daale, saath saath badan ko male, saabun wagaira lagale. Is ka khaas khayaal rakhe ke agar nahaate waqt satar khula huwa ho to qible ki taraf rukh na karein. (Shaami: 1/443, Kitabuttaharat Sunanul Gusl)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Sunday, 28 August 2016

Wuzu ke faraaiz

Wuzu mein 4 farz hain:  

1) Peshaani ke baalon se thhodi ke neeche tak aur ek kaan ki lau se doosre kaan ki lau tak poora chehra dhona.

✺ (Shaami: 1/235, Arkaanul Wuzu)

2) Donon haath kohniyon samet dhona.
✺ (Shaami: 1/247, Arkaanul Wuzu)

3) Chauthaai sar ka masah karna.
✺ (Shaami: 1/247, Arkaanul Wuzu)

4) Donon paaon takhnon samet dhona.
✺ (Shaami: 1/247, Arkaanul Wuzu)

(Sura-e-Maaidah: 6)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp


Saturday, 27 August 2016

Wuzu ka Sunnat Tareeqa

Namaaz padhne se pehle paaki haasil karna zaroori hai. Is paaki ko "Wuzu" kehte hain.

✺ (Shaami: 1/223, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

1) Sab se pehle Allah ko khush karne aur paak hone ki niyyat karna.

✺ (Bukhari: 1; Shaami: 1/272, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

2) Paak aur saaf paani se Wuzu karna.

✺ (Abu Dawud: 83; Shaami: 2/20, Baabul Miyaah)

3) "Bismillaah" keh kar wuzu shuru karna.

✺ (Nasai: 78; Shaami: 1/278, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

4) Donon haath gatton tak teen martaba dhona.

✺ (Bukhari: 159; Shaami: 1/286, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

5) Miswaak karna aur agar miswaak na ho to ungli se daant saaf karna.

✺ (Bukhari: 887; Sunan-e-Kubra Baihaqi: 179, Shaami: 1/296, 302, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

6) Teen martaba kulli karna.

✺ (Bukhari: 159; Shaami: 1/306, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

7) Teen martaba naak mein paani daalna aur baayein haath ki chhoti ungli se naak saaf karna.

✺ (Bukhari: 185; Shaami: 1/306, 308, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

8) Teen martaba munh dhona, ek kaan ki lau se doosre kaan ki lau tak aur peshaani ke baalon se daadhi ki haddi ke neeche tak.

✺ (Bukhari: 159; Shaami: 1/235, Kitaabuttahaarah, Arkaanul Wuzu: 1/315, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

9) Teen martaba donon haath kohniyon ke oopar tak dhona, pehle daayaan haath dhona phir baayaan aur ungliyon ka khilaal karna.

✺ (Bukhari: 159; Shaami: 1/247, Kitaabuttahaarah, Arkaanul Wuzu: 1/315-332, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

10) Haath paani se geela kar ke poore sar ka, phir kaanon ka, phir gardan ka ek martaba masah karna.

✺ (Bukhari: 192, Tirmizi: 36, Talkhees-e-Habeer: 1/288, Baab Sunanul Wuzu; Shaami: 1/323-336, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

11) Teen martaba donon paaon takhnon se oopar tak dhona, pehle daayaan paaon phir baayaan aur ungliyon ka khilaal karna.

✺ (Bukhari: 159; Shaami: 1/247, Kitaabuttahaarah, Arkanul Wuzu; 1/315-332, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

12) Chehre, haath aur pair ko achchhi tarah ragad kar dhona.

✺ (Musnad-e-Ahmad: 16441; Shaami: 1/331, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

13) Wuzu ke baad ki dua padhna.

✺ (Tirmizi: 55; Shaami: 1/345, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Friday, 26 August 2016

Nawaaqiz-e-Wuzu

Aathh cheezon se wuzu toot jaata hai, inhein "Nawaaqiz-e-Wuzu" kehte hain.

1) Paakhaana peshaab karna ya in donon raaston se kisi aur cheez ka nikalna.
(Shaami: 1/365, Kitaabuttahaara, Nawaaqizul Wuzu)

2) Reeh yaani hawa ka peechhe se nikalna.
(Shaami: 1/365, Kitaabuttahaara, Nawaaqizul Wuzu)

3) Badan ke kisi maqaam se khoon ya peep ka nikal kar beh jaana.
(Badaaye Ussanaaye: 1/24, Kitaabuttahaara, Nawaaqizul Wuzu)

4) Munh bhar ke qaye karna.
(Shaami: 1/376, Kitaabuttahaara, Nawaaqizul Wuzu)

5) Let kar ya sahaara laga kar so jaana.
(Shaami: 1/386, Kitaabuttahaara, Nawaaqizul Wuzu)

6) Beemari ya kisi aur wajah se behosh ho jaana.
(Shaami: 1/396, Kitaabuttahaara, Nawaaqizul Wuzu)

7) Paagal ho jaana.
(Shaami: 1/396, Kitaabuttahaara, Nawaaqizul Wuzu)

8) Namaaz mein qehqaha maar kar hansna.
(Shaami:1/396, Kitaabuttahaara, Nawaaqizul Wuzu)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Thursday, 25 August 2016

Paanch Namaazein

1) Fajr
2) Zohar
3) Asr
4) Magrib
5) Isha

Rakaton ki ta'adaa

1) Fajr ki namaaz mein 4 rakatein hain:
✺ 2 rakat sunnat-e-muakkada, 2 rakat farz.

2) Zohar ki namaaz mein 12 rakatein hain:
✺ 4 rakat sunnat-e-muakkada, 4 rakat farz, 2 rakat sunnat-e-muakkada, 2 rakat nafl.

3) Asr ki namaaz mein 8 rakatein hain: 
✺ 4 rakat sunnat-e-gair muakkada, 4 rakat farz.

4) Magrib ki namaaz mein 7 rakatein hain:
✺ 3 rakat farz, 2 rakat sunnat-e-muakkada, 2 rakat nafl.

5) Isha ki namaaz mein 17 rakatein hain:
✺ 4 rakat sunnat-e-gair muakkada, 4 rakat farz, 2 rakat sunnat-e-muakkada, 2 rakat nafl, 3 rakat witr waajib, 2 rakat nafl.

Juma ki namaaz mein 14 rakatein hain: Juma se pehle 4 rakat sunnat-e-muakkada, Juma ki 2 rakat farz, us ke baad 4 rakat sunnat-e-muakkada, phir 2 rakat sunnat-e-gair muakkada, phir 2 rakat nafl.

✺ References: (Abu Dawood: 1275; Badaay-e-Ussanaaye: 1/91, Kitaabus Salaah, Fasl fi Adadiha wa Adadi Rakatiha; Badaay-e-Ussanaaye: 1/269, Salaatul Juma wa Bayaanu Miqdaariha; Badaay-e-Ussanaaye: 1/284-285, Kitaabus Salaah, fasl Assalaatul Masnoonah)

✺ Tambeeh: Sunnat-e-muakkada zaroor padhein, is mein hargiz kotaahi na karein.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Wednesday, 24 August 2016

Namaaz ke Sharaait

Namaaz ke baahar saat faraaiz hain, jinhein "Sharaait" kehte hain:

1) Badan ka paak hona.
✺ (Shaami: 3/242, Baabu Shurootis Salaah)

2) Kapdon ka paak hona.
✺ (Shaami: 3/242, Baabu Shurootis Salaah)

3) Jagah ka paak hona.
✺ (Shaami: 3/242, Baabu Shurootis Salaah)

4) Satar ka chhupaana.
✺ (Shaami: 3/249, Baabu Shurootis Salaah)

5) Namaaz ka waqt hona.
✺ (Badaay-e-Ussanaaye: 1/121, Fasl fi Sharaaiti Arkaanis Salaah)

6) Qible ki taraf rukh karna.
✺ (Shaami: 3/330, Baabu Shurootis Salaah)

7) Niyyat karna.
✺ (Shaami: 3/285, Baabu Shurootis Salaah)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Tuesday, 23 August 2016

Namaaz ke Arkaan

Namaaz ke andar chhe (6) faraaiz hain, jinhein "Arkaan" kehte hain:

1) Takbeer-e-Tahreema (Allahu Akbar) kehna.
✺ (Shaami: 3/376, Kitaabus Salaah, Baabu Sifatis Salaah)

2) Qayaam karna (seedha khada hona).
✺ (Shaami: 3/381, Kitaabus Salaah, Baabu Sifatis Salaah)

3) Qirat karna (Qur'aan-e-Majeed padhna).
✺ (Shaami: 3/389, Kitaabus Salaah, Baabu Sifatis Salaah)

4) Ruku karna.
✺ (Shaami: 3/392, Kitaabus Salaah, Baabu Sifatis Salaah)

5) Do sajde karna.
✺ (Shaami: 3/393, Kitaabus Salaah, Baabu Sifatis Salaah)

6) Qa'ada-e-akheera mein tashahhud (attahiyyat) ki miqdaar baithhna.
✺ (Shaami: 3/396, Kitaabus Salaah, Baabu Sifatis Salaah)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp


Monday, 22 August 2016

Namaaz ke Waajibaat

 Namaaz ke Waajibaat

Aisi cheezein jo agar bhoole se chhoot jaayein to sajda-e-sahw karna padta hai.

1) Farz Namaaz ki pehli 2 rakaton ko qiraat ke liye khaas karna.

(Shaami: 3/426, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

2) Farz Namaaz ki sirf pehli 2 rakaton mein aur tamaam Namaazon ki har rakat mein Surah-e-Faatiha padhna.

(Shaami: 3/426, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

3) Farz Namaaz ki sirf pehli 2 rakat mein aur tamaam Namaazon ki har rakat mein Surah-e-Faatiha ke baad ek badi aayat ya teen chhoti aayatein padhna.

(Shaami: 3/426, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

4) Sura-e-Faatiha ko Surah se pehle padhna.

(Shaami: 3/434, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

5) Qirat ke baad ruku aur ruku ke baad sajde mein tarteeb qaaim rakhna.

(Shaami: 3/434, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

6) Qauma karna yaani ruku se uthh kar seedha khada hona.

(Shaami: 3/445, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

7) Jalsa karna yaani donon sajdon ke darmiyaan itmenaan se baithhna.

(Shaami: 3/445, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

8) Ta'adeel-e-arkaan yaani ruku, sajdah, wagaira ko itmenaan se achchhi tarah ada karna.

(Shaami: 3/444, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

9) Qa'ada-e-Oola yaani 3 aur 4 rakat waali Namaaz mein 2 rakat ke baad tashahhud ki miqdaar baithhna.

(Shaami: 3/444, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

10) Donon qa'adon mein tashahhud padhna.

(Shaami: 3/450, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

11) Imaam ko Fajr, Maghrib, Isha, Juma, Eidain, Taraweeh, aur Ramzan Shareef ki witron mein aawaaz se qirat karna.

(Shaami: 3/460, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

12) Zohar aur asr ki Namaazon mein aahista aawaaz se qirat karna.

(Shaami: 3/460, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

13) Lafz Salaam se Namaaz khatm karna.

(Shaami: 3/456, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

14) Witr ki Namaaz mein qunoot ke liye takbeer (Allahu Akbar) kehna aur duaa-e-qunoot padhna.

(Shaami: 3/457, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

15) Donon Eidon mein 6 Zaaid takbeerein (Allaahu Akbar) kehna.

(Shaami: 3/457, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Sunday, 21 August 2016

Namaaz ke Mufsidaat

Aisi cheezein jin se Namaaz toot jaati hai, inhein "Mufsidaat" kehte hain.

1) Namaaz ki haalat mein baat karna, jaan kar ho ya bhool kar, thodi ho ziyaada.

✺ (Shaami: 4/416, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

2) Namaaz se baahar waale kisi shakhs ki dua par "Aameen" kehna.

✺ (Shaami: 4/436, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

3) Kisi dard ya takleef ki wajah se karaahna ya aah, ooh ya uff karna.

✺ (Shaami: 4/432, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

4) Qur'aan Shareef dekh kar padhna.

✺ (Shaami: 4/451, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

5) Qur'aan-e-Majeed padhne mein aisi galti karna ke jis se maani kharaab ho jaaye.

✺ (Shaami: 4/479, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

6) Namaaz ki haalat mein koi aisa kaam karna jis ki wajah se dekhne waala yeh samjhe ke yeh shakhs Namaaz mein nahin hai.

✺ (Shaami: 4/454, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

7) Namaaz padhte huwe koi cheez kha lena.

✺ (Shaami: 4/449, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

8) Qible ki taraf se bagair kisi uzr ke seena pher lena.

✺ (Shaami: 4/464, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

9) Naapaak jagah par sajdah karna.

✺ (Shaami: 4/458, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

10) Namaaz mein koi farz chhod dena.

✺ (Shaami: 4/475, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

11) Imaam ki jagah se aage badh jaana.

✺ (Shaami: 4/460, Kitaabus Salaah, Baabul Imaamat)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp